Wednesday, May 27, 2009

LAJJA-3----SAREY JAHAN SE ACHCHA--- HINDOSTAN HAMARA

BUILDINGS WHEN BECOME OLD LOSS STRENGTH, HENCE, NEED RETROFITTING TO INCREASE THE STENGTH. THIS NAZM OF ALLAMA
IQBAL TOO HAS LOST STRENGTH BEING ABOUT 85 YEARS OLD. THUS IS HERE BY, RETROFIITED AGAIN AS THE ENVIRONMENT AND POLITICS IS TOO POLLUTED NOW. CIRCUMSTANCES ARE CHANGED NOW.

SAREY JAHAN SE ACHCHA-----
HINDOSTAN HAMARA------
HAM BHERIYEY HAIN ISKE-----
YEH NATAWAAN HAMARA-----


MANDIR BANEY GA OONCHA---
HAM SAYA AASMAN KA----
JHOOTA THA ADL CHAHEY---
HO DASTAN YAHAN KA----
NEYTA YAHAN SIKHATA---
APAS MAIN BAIR RAKHNA---
MARRATHI MUMBAI MAIN----
LALU KAHAN HAEY APNA-----
INSAAF KA SHURU HAEY---
KYA IMTAHAN HAMARA----


SAREY JAHAN SE ACHCHA-----
HINDOSTAN HAMARA------
HAM BHERIYEY HAIN ISKE-----
YEH NATAWAAN HAMARA-----



POLLUTE KYON HUEY HAIN---
MAHOL ISKE DARYA-----
TRISHUL BANT-TEY HAIN-----
KIYON MULK MAIN TUGARYA---
KIYOON JHOOT NE HAEY PHARA---
INSAAF KA GIREYBAAN---
RISHWAT BANI HAEY KIYON AB---
EIS MULK KI NEGAHBAAN---
PHIKA SA KIYON PARA HAEY---
RANG-E-HINA HAMARA---

SAREY JAHAN SE ACHCHA-----
HINDOSTAN HAMARA------
HAM BHERIYEY HAIN ISKE-----
YEH NATAWAAN HAMARA-----

KIYON MULK MAIN GHAREEBON—
KI VOTE HI CHALE GI-----
SARKARI JHAPPI ZATON----
KE NAAM KIYON BANTE GI----
KIYON GHURBATE MUSLIM PER----
CHADAR SI AEK CHARHEY GI----
KIYON BHANJE BHATEEJON ---
KO NAUKRI MILEY GI---
INSAAF KA SHURU HAEY—
KYA IMTAHAN HAMARA-----


SAREY JAHAN SE ACHCHA-----
HINDOSTAN HAMARA------
HAM BHERIYEY HAIN ISKE-----
YEH NATAWAAN HAMARA-----





SACHCHAEI KIYON YAHAN KE---
JHOOTEY SE AB DARI HAEY---
MAHOL MAIN YAHAN KE----
KIYON AAG SI LAGI HAEY---
DOOJEY KO MAR KER BHI---
HOTI NAHIN PASHEEMAN---
INSANIYAT HUEEY HAEY----
KIYON IS JAHAN SE PINHAN---
PHIR BHI YAHI SIKHATA---
DIL, JISM-O-JAAN HAMARA----


SAREY JAHAN SE ACHCHA-----
HINDOSTAN HAMARA------
HAM BHERIYEY HAIN ISKE-----
YEH NATAWAAN HAMARA-----

AB CASTON KA SARTAAN---
HO HIND KI NA PEHCHAAN----
GUJJAR WA VAISH, SHARMA---
SIKH, EISAI, MUSALMAN-----
HO CASTON KE BADLEY---
HAALE-Y-MA-AASH PAIMAN---
ARAKSHAN KA GULISTAN---
BULBUL GHAREEB INSAN---
PHIR ZOR SE KAHEY GA ---
SARA JAHAN HAMRA----

SAREY JAHAN SE ACHCHA-----
HINDOSTAN HAMARA------
HAM BUBULAIN HAIN ISKE-----
YEH GULSITAAN HAMARA-----

DIFFICULT URDU WORDS
NATAWAAN : WEAK
PASHEEMAN : TO FEEL GUILTI
PINHAN : TO VANIISH, TO BECOME ZEERO
RANG-E-HINA : MENHDI COLOUR
CASTON KA SARTAN : CANCER OF CASTE
HO CATON KE BADLE--- INSTEAD OF CASTISM
HALEY MA-AASH PAIMAN----FINANCIAL CONDITION SHOULD BE THE CRITERIAN
GULISTAN------GARDEN
BHAIRIYA : NAME OF A CARNIVORE ANIMAL
BULBUL: NAME OF A BIRD

No comments:

Post a Comment